Border
"Hum toh kisi doosre ki dharti par nazar bhi nahi dalte … lekin itne nalayak bachche bhi nahi hai … ki koi hamari dharti maa par nazar daale aur hum chup chap dekhte rahe."
Chak De India
"Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai … sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A."
Gadar
"Hamara Hindustan zindabad tha, zindabad hai, aur zindabad rahega!"
Garv
"Main maut ko takiya, aur kafan ko chaadar banakar audhta hoon."
Guru
"Chalis Saal Pehle Ek Aur Aadmi Tha Joh Kanoon Ke Khilaaf Tha ... Aaj Hum Uss Aadmi Ko Bapu Kehte Hai."
Holiday
"Tum Log Parivaar Ke Saath Yahan Chain Se Jeeo ... Is Liye Hum Log Roz Border Par Marte Hai."
Lage Raho Munna Bhai
"Desh toh apna ho gaya hai ... lekin log paraye ho gaye hain."
Maa Tujhhe Salaam
"Tum doodh mangoge hum kheer denge ... tum Kashmir mangoge hum cheer denge."
Mangal Pandey
"Yeh azaadi ki ladai hai ... ghuzre hue kal se azaadi ... aane waale kal ke liye."
Namastey London
"Ek Catholic aurat Pradhan Mantri ki kursi ek Sikh ke liye chod deti hai ... aur ek Sikh Pradhan Mantri pad ki shapath ek Muslim Rashtrapati se leta hai ... us desh ki bhag daud sambhalne ke liye jisme assi pratishad log Hindu hai."
Rang De Basanti
"Ab Bhi Jiska Khoon Na Khaula, Khoon Nahin Voh Paani Hai ... Joh Desh Ke Kaam Na Aaye Woh Bekaar Jawani Hai."
Rang De Basanti
"Door se commentary dena bahut aasaan hota hai. Doosron ko gaali dena aur bhi aasaan. Agar tumhein itni problem hai to tum badlo na deshko. Yeh tumhara bhi desh hai. Politics join karo, police ya IAS mein bharti hojao, badlo cheezon ko. Lekin tum nahin karoge. Main bataaon kyon? Kyon ki gharki safai mein haath gande kyun karein? Agar itni himmat hai, toh aage badho. Badlo is desh ka future."
Soldier
"Tumhare seene mein joh dil hai woh Hindustani hai ... aur Hindustani dil awaara nahi hota ... yeh chahta toh sari duniya ko hai, lekin mitta kisi Hindustani par hai."
Swades
"Main nahin maanta ki hamara desh duniya ka sabse mahaan desh hai. Lekin yeh zaroor maanta hoon ki hummein kabiliyat hai, taakat hai, is desh ko mahaan banane ki… Hum aapas mein ladte rehte hain, jab hamein ladna chahiye ashiksha ke khilaaf, badhti hui aabadi, bhrashtachaar ke khilaaf. Yahan jaati ke aadhar pe bhed bhav ho rahein hain. Dalit Brahmin ko dosh deta hai, zamindar kisaan ko dosh deta hai par unka hak nahin deta. Phir hum mahaan kaise hue?"
The Legend Of Bhagat Singh
"Aap Namak Ka Haq Ada Karo ... Main Mitti Ka Haq Ada Karta Hoon."
Patriotism is not a quality, it is a feeling. An inclination we all have for our country. In any case, unfortunately it is dependably movies that figure out how to convey to surface the affection we feel for our nation. On the 69th year freedom Day, We thought to praise this day in little ‘Bollywood-style’ and that is the reason we have conveyed to you run-down of Bollywood’s most prominent enthusiastic dialogues which gave us goosebumps, while watching those movies.
[inline-gallery]
An Architecture student by Profession, a Bollywood Buff and Writer by Passion.